Muharram Urdu Shayri, Hindi Messages, Quotes, SMSes, WhatsApp & Facebook Status for this Muharram Ashura 2016

Muharram 2016: Here we have shared a list of Urdu Shayri, Hindi Messages, Quotes, SMSes, WhatsApp & Facebook Status for this Muharram Ashura 2016!

Updated: October 11, 2016 3:09 PM IST

By Zainab Mulla

Muharram Urdu Shayri, Hindi Messages, Quotes, SMSes, WhatsApp & Facebook Status for this Muharram Ashura 2016

Muharram – falls on 12th October, 2016.  and is one of the four sacred months of the year. The word ‘Muharram’ means forbidden and sinful. Imam Husayn was killed by the army of the Caliph Yazid in 680 AD at the Battle of Karbala in Iraq. Soon after his death, Islam got divided into two major sections – the Sunnis and the Shias. During this period, Muslims observe fast during those days and the tenth day of Muharram is known as the day of Ashura which is the mourning session.

Sunni and Shia community of Muslims celebrate Muharram. On the other hand Shia Muslims celebrate Muharram in a different way. They respect the festival and the supreme sacrifice of Hussein Ibn Ali who was killed in the Battle of Karbala. Sunni Muslims fast and it is said that it gets recorded in the hadith. People believe that Musa and his army obtained victory over Egyptian Pharaoh. Muhuraam is considered the holiest month after Ramadan. ALSO READ: Muharram 2016: When and What is Mourning of Muharram and Ashura Fasting, All you need to know

They reenact the entire scenario and hit themselves with sharp objects. Muharram is majorly observed by the Shia community who portray their grief and suffering of Imam Husayn in an age old ritual called tatbir. Here we have shared a list of messages, quotes and shayaris which you can send to your loved ones on the day of Muharram. ALSO READ: Muharram 2016: WhatsApp Status, Quotes, Facebook Messages, SMSes, Images & DP for Muharram Ashura 2016

Whatsapp reads: Phir Aaj Haq Ke Liye Phir aaj haq ke liye jaan fida kare koi Wafa bhi jhoom uthe yun wafa kare koi Namaz 1400 saalon se intezar mein hai Husain ki tarha mujh ko adaa kare koi

Whatsapp reads: Aankhon Ko Koi Khwaab Aankhon ko koi khwaab to dikhayi de Tabeer me Imam ka jalwa dikhayi de Aye! Ibn-E-Murtuza tere samne Suraj bhi ek chota sa zarra dikhayi de

Whatsapp reads: Janat Ki Aarzu Main Kahan Ja Rahe Hain Log Janat To Karbala Main Khareedi HUSSAIN Ne Duniya-o-Aakhrat Main Jo Rehna Ho Chain Se Jeena ALI Se Seekho Marna HUSSAIN Se

Whatsapp reads: Karbala Walon Ka Gham Karbala walon ka gham ghar ghar mein manaya jayega Maqsad-E-Shabeer aalam ko bataya jayega Yaad kar ke jo na roya Karbala walon ki pyaas Qabar se tishna wo mehshar main uthaya jayega

Whatsapp reads: Ek Din Bade Ghroor Ek din bade ghroor se kehne lagi zameen Aya mere naseeb mein parchum Husain ka Phir chand ne kaha mere seene ke daagh dekh Hota hai aasmaan pe bhi maatam Husain ka

Whatsapp reads: Today’s sunset was the last sunset of this ISLAMIC YEAR & I pray that all your worries set down with this sunset & new beam of new year spread happiness in your life. (AAMEEN)Happy New Islamic Year

Whatsapp reads: Kuch Barhami Hai Zara Kuch barhami hai zara is Noor-e-Ain mein Milta hai iztiraab yunhi dil ke chain mein Selaab dekhta hoon to ata hai ye khyal Pani bhatak raha hai Talash-e-Husain mein

Whatsapp reads: Sajde se Karbala Ko Bandagi Mil Gayi Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gayi Ek Chamman Fatima (S.A) Ka Ujra Magar Sare Islam Ko Zindagi Mil Gayi

Whatsapp reads: Tere Dil Main Kaisi Girah Pari Tere dil mein kaisi girah padi tujhey usse itna hasad hai kyun? Jo Nabi (S.A.W.) ki aankh ka noor hai jo Ali ki rooh ka chain hai Kabhi dekh apne khameer mein kabhi pooch apne zameer se Wo jo mit gaya wo yazeed tha, jo na mit saka woh Husain ha

Whatsapp reads: Quran Sunaney Wala Sar gair ke aage na jukane wala Aur nezey pe bhiQuran sunaney wala Islam se kya poochte ho kaun Husain haiIslam ko Islam banane wala

Whatsapp reads: Leta tamaam kaam woh apne wali se hai, Nisbat har ek imam ki noor-e-jali se hai, Kul akhtiyaar de diya Hassan-o-Hussain ko, Deta khuda zaroor hai par milta Ali say ha

Whatsapp reads: Fiza-e Jannat Mein Bhi Hamesha Fiza-e jannat mein bhi hamesha nasheest unhi saji rahegi Tamam ahlay wila ka mirkaz Nabi (PBUH) ki bada dari rahegi Jo phool shaakhon say gir bhi jayen to unse khushboo juda na hogi Jo hum mare bhi to zehan-o-dil mein ALI (A.S) ki khushboo basi rahegi

Whatsapp reads: Ae Karbala ke qasr ki mai’maar as’salam…. Ae jur’aton ki aahani deewar as’salam…. Ghurbat may Shahzadi-e Mukhtar as’salam…. Ae ghaaza-e-rukh-e-Shah-e-abraar as’salam…. Jo rang chad chuka tha utarne nahi diya…. Tune kisi Shaheed ko marne nahi diya.

Whatsapp reads: Khoon se Chirag-e-deen jalaya Hussain ne, Rasm-e-Wafa ko khoob nibhaya Hussain ne.. Khud ko to ek boond bhi pani na mil saka, Karb-o-Bala ko khoon pilaya Hussain ne.. Aesi namaz kaun parhega jahan mein? Sajda kiya to sar na uthaya Hussain ne.! Sab kuch Khuda ki raah mein Qurban kar diya, Asghar sa phool bhi na bachaya Hussain ne..

Whatsapp reads: Yun hi nahi jahan main Charcha HUSSAIN ka Kuch dekh ke hua tha Zamana HUSSAIN ka Sar de ke do jahan ki Hukumat khareed li Mehenga pada Yazeed ko Sauda HUSSAIN ka…

Whatsapp reads: Jab bhi kabhi zameer Ka sauda ho doston Qayam raho HUSSAIN Ke inkaar ki tarha !!!

Whatsapp reads: Karib Allah ke aao to koi baat bane, Imaan phir se jagao to koi baat bane, Lahoo jo beh gaya Karbala me, Unke Maqsad ko samjho to koi baat bane

Whatsapp reads: Zarurat thi talwaar ki na aur kisi hathiyar ki Sirf ek dua thi Karbala mein alamdaar ki Fakat mil jaye ijazat aqa Hussain se To yaad dila dunga jung Haider-e-Karrar ki

Whatsapp reads:Pani ka talab ho to ek kaam kia kar. Karbala ke naam pe ek jam piya kar. Ki mujhko “Hussain IBN-E-ALI” Ne yeh naseehat. Zalim ho muqabil to mera naam liya kar

Whatsapp reads: Hussain Ki Namaz Jari Hai Jabeen-E-Ibn-E-Ali ki niyaz jari hai Khuda ke deen ki Umr-E-Daraz jari hai Sajde mein rakh ke sir ko na uthaya Hussain ne Mere Husain ki ab tak namaz jari hai

Whatsapp reads: Salam Ya Husain!! Apni taqdeaer Jagatey hen tere Matam se, Khoon ki raah bechaty hen tere Matam se, Apne izhar-e-aqeedat ka saliqa ye hai, Hum naya Saal manatey hen tere matam se

Image credit: Jyoti Desale

Also Read:

For breaking news and live news updates, like us on Facebook or follow us on Twitter and Instagram. Read more on Latest Viral News on India.com.

By clicking “Accept All Cookies”, you agree to the storing of cookies on your device to enhance site navigation, analyze site usage, and assist in our marketing efforts Cookies Policy.