scorecardresearch
Thursday, Mar 28, 2024
Advertisement
Premium

IPL spot-fixing: ‘Khush ho gaya Seth ji,’ asks Ajit Chandila; ‘Haan, khush, khush, khush,’ says bookie

In a conversation, Ajit Chandila is heard asking a bookie: ‘Khush ho gaya Seth ji?. To which the bookie replies: “Haan, haan khush, khush, khush.”

Ajit Chandila, Ajit Chandila ban, Ajit Chandila life ban, Chandila Life ban, Life ban chandila, IPL spot fixing, fixing in ipl, bcci ban, Cricket News, cricket Ajit Chandila was banned for life by the BCCI for his alleged involvement in the 2013 spot-fixing scandal. (Source: File)

Rajasthan Royals cricketer Ajit Chandila, banned for life by the BCCI, was in touch with alleged bookies and also spoke to at least one teammate — Ankeet Chavan — about influencing the result of a match during the 2013 IPL, conversations recorded during the Delhi police investigations and which are part of a 6,000-page charge-sheet, indicate. In a snatch of conversation between Chandila and a former Rajasthan Royals cricketer Amit Singh, the latter tells the former that a bookie will be watching the match at the ground and hence it is pertinent to give a pre-determined signal. It later emerges, according the charge-sheet that Chandila forgot to give the pre-determined signal.

In another conversation with two alleged bookies, Chandila is heard explaining why he could not do the job in earlier matches as he did not get his full quota of overs. When the bookies lose their cool, the two parties come to an understanding that Chandila will return the money. Chandila is also heard asking a bookie: ‘Khush ho gaya Seth ji?. To which the bookie replies: “Haan, haan khush, khush, khush.”

This occurred after Chavan purportedly gave away a pre-determined number of runs against Mumbai Indians at the Wankhede Stadium on May 15, 2013. Tapes also reveal that Chandila had spoken to Chavan about conceding at least 12 runs, before this particular match.

Advertisement

Watch Video: Why BCCI Banned Ajit Chandila For Life, Even Though The High Court Let Him Off

A trial court had dropped charges levelled by the Delhi police against Chandila, Chavan and S Sreesanth under the Maharashtra Control of Organised Crime Act because of lack of evidence. However, Chandila was banned for life by the Board of Control for Cricket in India on Monday, following its disciplinary panel hearing, after being found guilty of misconduct and corruption.

Festive offer

‘T-Shirt dono upar karni hai aur sar neeche karna hai’

May 5, 2013. Conversation between Ajit Chandila and Amit Singh.

Context: Call made at 5:54 pm ahead of night match between Rajasthan Royals and Pune Warriors at Sawai Maan Singh Stadium in Jaipur. Amit asks Chandila to give a pre-decided signal before the over which was allegedly fixed. The Delhi police chargesheet says Chandila forgot to give the pre-decided signal.

Amit Singh: Haan

Advertisement

Ajit Chandila: Bhai mujhe jaane de, mein signal doonga, theek hai.

AS: Haan

AC: Pehle over to jaane do, mein dekh loonga apne hisaab se.

AS: Nahi, nahi, pehla over tera achchha jaye to?

AC: Pehla over achchha gaya to?

AS: Confident rehkar ball dalna.

AC: Confident ho kar hi ball daloonga, yahi to mein bola.

AS: Indication tere ko maloom hai kya dena hai?

AC: T-Shirt dono upar karni hai aur sar neeche karni hai…

Advertisement

AS: Manan udhar hi rahenge. Us din jaise mat karna, theek hai bhai?

AC: Nahi nahi, indication dekar hi hoga, jo bhi hoga, theek hai?

***

‘Bhaiya suno, mera jis time over aaya, us time kam nahi ho saka’

May 14, 2013: Conversation between Ajit Chandila, Kiran Dole (Munna) and Sunil Bhatia, both alleged bookies

Advertisement

Context: On the eve of the Rajasthan Royals match against Mumbai Indians at the Wankhede Stadium. Chandila explains as to why he could not perform in previous games as desired by Dole and Bhatia.

Kiran Dole: Hello…

Ajit Chandila: Haan ji bolo…

KD: Kaha ho yaar tum, kaha ho yaar?

AC: Kaho ho kya, practice se abhi aaya hu. Paanch minute bhi nahi hua hai. Hotel main ghusa hun.

KD: Aur tum bolo kahan milna hai? Kaam apne ko karna hai.

AC: Mile kya? Kal Sidhu bhi nahi khel raha hai, main bhi nahi khel raha.

Advertisement

KD: Kal tu bhi nahi khel raha hai? Sidhu bhi nahi khel raha?

AC: Sidhu ko bola tu barah mein hai, mujhe bola tu khel nahi raha hai. Kal wicket dekhte shaam ko, wahan batayenge jo bhi hai. Mujhe direct mana kar diya.

KD: Kal subah milte hain hotel pe.

AC: Mile jabhi jab kaam ho kuchh. Aap khud hi batao… Hum kabhi bhi milenge, aise kya hai, bhai hain hum to.

KD: Kal mil lo, kal barah ya ek baje.

AC: Munnai bhai pata hai kya, hamara event hai, Ultra Tech sponsor hai, usme do ghanta, dhaee ghante chala jata hai.

KD: Ek minute, Sunil bhai se baat karo.

Sunil Bhatia: Hello Ajit bhai…

AC: Haan ji bolo…

Advertisement

SB: Mein bol raha hu, mein tees peti (30) deta hun, mere ko ek over mein kaam karake do.

AC: Kitne?

SB: Tees (30) peti.

AC: Arre yaar, main kel hi nahi raha, Sidhu ko bola hai tum rest karo kal.

SB: Ek kaam karde na, kal aapun dopahar ko milen, kya bolta hai… barah ya ek baje? Munna se baat karo, jahan bolta hun udhar aapun mil lete hain.

AC: Sunil bhai milne ka tab fayada ho (jab) kam ho raha ho. Kisko leke aau. Jo nahi khel raha hai usko leke aau, zabardasti. Last year wala chu*****a na karna. Sidhu ko leke aau, Sidhu na kare, fir (tum) mujhe bolo, yeh cheez galat hai na.

Advertisement

SB: Tumne pura IPL mein…kya bolta hai.. aise waise kar raha ho. Arre hello…

AC: Bhaiya suno, mera jis time over aaya, us time kam nahi ho saka.

SB: Arre, mein kya bol raha hu, main Sai Baba ka bhakt hun, mere ko Baba ki kasam hai… aap zindagi mein kabhi kaam nahi kar sakte. Meri zuban hai, main tumhare ghar mein jhaadu marke jaoonga jis din tum kaam karlenga, Ajit Chandila jis din match mein kam karlenga.

AC: Aap na phone pe baat kar rahe ho, milke baat karo to bataoonga. Ye batao jab mujhe time hi nahi diya… Mumbai wale match mein do over dalvaya, Punjab wale match mein teen over dalvaya, aise to ball dal rahi hai meri.

Advertisement

SB: Hello suno, aapne, hamare ko Sai Baba ki kasam, barbaad kar dala.

AC: Kaise yaar, bachho wali baat kyun karte ho. Aap bhi… Business man ki tarah baat nahi karte hain aap.

SB: Suno na meri baat suno. Meine ikkees (21st) April se khana nahi kaya hun sirf aapki wajah se. Meri mari hui maa ki kasam, meri 11 saal khi bachchi… Baees (22nd) April ko mein Bangalore aaya hun aap ke paas. Jab se abhi tak main khana nahi kaya hun. Oberoi mein aap ka team ruka hua hai, mere teen room booked hain… Kaam to aap kar hi nahi sakte, aur kaam aapke fitrat mein nahi hai.

AC: Bhai kaha se kardu mein. Khelne ka do chance..

SB: Suno Ajit bhai tumne mere ko…mera mann bahut dukhaya hai. Ajit bhai mein IPL ke baad tumhare saath aisa kaam karoonga ki tum life mein kise ke saath galat kaam nahi karoge.

AC: Chalo theek hai, theek hai…Ek kaam karo, jaha bolo, Sunil Bhatia, wahan main milunga.

KD (comes on line): Main bol raha hun tum do minute ke liye mil to lo.

AC: Nahi, nahi, nahi. Aap mujhe yeh dhamki de rahe hain na. Munna bhai beech mein se haat jao. Yeh keh raha hai na, mein yeh karoonga, wo kar doonga, jaha milna hai, bolo kaha milna hai? Hadd hai yaar ch****a samajh rakha hai… mein kuch bolta nahi hu.

KD: Ajit bhai, IPL chalu hone ke pehle jab main aap se mila… aap ne kaam hi nahi kiya abhi tak… Tum kuchh to kaam karlo.

AC: Aare bhai kahan se kar lu, kahin mauka diya hai mujhko? Kaisi bat kar rahe hain aap. Aap bhi uske saath baith ke wahi baat kar rahe hain jo possible nahi hai.

KD: Theek ek kaam kar lo, payment vapas kar lo, jitni bachi hai. Baat khatam kar lo, ye topic khatam.

AC: Theek hai, theek hai. 18 tareek ko mujhse le lo samaan.

***

‘Wo wahi wrist band ko ghumayega’

May 15, 2013: Ajit Chandila and Ankeet Chavan.

Context: Mumbai Indians hosted Rajasthan Royals at the Wankhede. Rajasthan won the toss and chose to field. In this conversation at 15:41 hrs, Chandila tells Ankeet that he must concede at least 12 runs. Chavan opened the bowling and in his second over conceded 15 runs, including two sixes.

Ankeet: Haan Ajit…

Chandila: Haan ji sir…

Ankeet: Bolo sir.

Chandila: Haan.

Ankeet: Kahan par hai?

Chandila: Mein room mein hun.

Ankeet: Achchha achchha.. arre main nikhal raha hun… bahar jar raha hun zara.

Chandila: Achchha.

Ankeet: Bolo.

Chandila: Kar do na.

Ankeet: Haan par wahi jo… kitna?

Chandila: 12.

Ankeet: Wo to zyada bol raha tha.

Chandila: Nahi maine bol diya usko.

Ankeet: Chal theek hai.

Chandila: Chal theek hai… bol diya usko. Done kar diya maine.

Ankeet: Haan.

Chandila: Aur 60 bol diya maine usko.

Ankeet: Haan.

Chandila: Done ho gayi, theek hai?

Ankeet: Haan.

Chandila: Wo wahi wrist band ko ghumayega.

Ankeet: Haan haan.

Chandila: Tu nau ya das (9 or 10 overs) kar raha hai to usme bhi karna hai aur power play main bhi hai, usme bhi karna.

Ankeet: Kya kya kya?

Chandila: Agar maan le, haan, tu power play mein kar diya…

Ankeet: Ye to mein BBM karta hun.

Chandila: Power play main kar diya, to ho gaya.

Ankeet: Khaali power play mein.

Chandila: Haan haan, bhul gaya mein.

May 15, 2013, 20:19 hrs

Chandila: Khush ho gaya seth ji?

Manan: Haan, haan, khush, khush, khush.

Chandila: Theek hai, baat karao.

Manan: Session hone ke baad karta hun, theek hai?

Chandila: Sun, Amit ke saath.

Manan: Haan.

Ajit: Uske hath mein samaan nahi jana chahiye, saaman mere haat mein aana chahiye.

Manan: Theek hai, jaise aap bologe, waise hi hoga.

Get latest updates on IPL 2024 from IPL Points Table to Teams, Schedule, Most Runs and Most Wickets along with live score updates for all matches. Also get Sports news and more cricket updates.

First uploaded on: 20-01-2016 at 01:09 IST
Latest Comment
Post Comment
Read Comments
Advertisement
Advertisement
Advertisement
Advertisement
close