Hafiz Saeed se Dr Ved Pratab Vaidik ki mulaqat aur guftagu

Dunya News

Sari baat cheet kay baad mujhe lagta hai ke Hafiz Saeed aik na samajh mein anay wali pahaili hai.

Aaj aap aisi mulaqat ka akhwal parhain gey jis ne tareekh banai hai. Azad Bharat ki tareekh mein aaj tak kisi sahafi ki mulaqat ki waja se aiwan ki karwai is tarah thap nai hui, jaisay Vaidik ji ki mulaqat se hui. TV channels par shayed ki kabhi koi sahafi mulk mein 2 ya 3 din is tarah chaya raha. Is mulaqat aur is mein ki gai guftagu ko Bhaskar ne aaj shaya kia hai. Isay apnay nazreen keliye yahan mukammal surat mein pesh kia ja rha hai.

Dr Vaidik ki mukhtasir wazahat:
Hafiz Saeed se mulaqat achanak tay hui. 2 July ko dopahar ko mein bharat anay wala tha. 1 July ki sham, kuch sahafi mujh se baat cheet kar rhay thay. Unhon ne kaha ke aap ke aap bharat mukhalif dehshat gardi ka mudda itnay zor se utha rhay hain, kya aap kabhi Hafiz Saeed se milay? Mein ne kaha nahin. In mein se lag bhag sab ke pas Hafiz Saeed ke number thay. Kisi ne fone milaya aur mulaqat tay ho gai. Subah saat bjay is liye tay hui ke mujhe Lahore hawai adday par 10-11 bjay ke qareeb pohanchna tha. Mein ne keh dia ke agar mulaqat der se hui tou mein nahi mil sakoon ga. Is mulaqat ke liye na tou mein ne apnay kisi sarkari auhdaydar se rabta kia aur na hi Pakistan ke kisi leader ya auhdedar se! Is se pehlay Pakistan ke Wazir-e-Azam, Wazir-e-Kharja, Kharja Secretary aur kai wafaqi aur subai leaderon se meri mulaqat ho chuki thi. Foj aur daftar Kharja ke kai retired aala auhdedaron se bhi mil chukka tha. Pakistan ke sath sath parrosi mulkon mein darjanon dafa ja chukka hoon. Pooray 45 saal se mera safri rabta bana hua hai. Kai parrosi mulkon ke larkay jo mere saath bharat ya bairuni mulkon mein parhtay thay, wo apnay apnay mulk ke leader bhi ban gaye aur musanif-o-professor bhi! Parrosi mulkon ke TV channels par aksar mere program hotay rehtay hain, wahan ke akhbar bhi mere laikh shaya kartay rhay hain. Parrosi mulkon ki universities, academies aur idaron mein mujhe seminars mein shirkat ke liye bulaya jata hai. Is dafa bhi bharat pak baat cheet ke aik dor mein mujhe bulaya gya tha.
Peshay ke aitbar se mein sahafi hoon, is liye mein in mawaqay ka istamal sahafat ke liye karta hoon. Agar boht hi zaroorat ho tou is mulaqat ho mein interview ke tor par likh daita hoon, warna apnay laikhon mein in ka istamal kar laita hoon.
Jab mein ne Hafiz Saeed se milnay ka waqt tay kia tou wo bilkul hi ittefaqia tha. Mera pehlay se koi program nahi tha. Jab mulaqat tay ho gai tou mein ne socha ke chahay job bhi ho, mujhe in se Mumbai hamlay ke baaray mein seedhay sawalat poochna chahiyen. Yeh interview kisi khas akhbar ke liye tay shuda nahi tha. Mein ne socha jis sab se achay akhbar Bhaskar mein barsoon se likh rha hoon yeh interview bhi isi mein doon ga. Is se pehlay mein Wazir-e-Azam Mian Nawaz Sharif se guftagu ki tafseel doon ga. Bhaskar mein 2-3 laikh mere Pakistani safar ke baaray mein chap chukay hain.
Mein ne Twitter par na tou Hafiz Saeed ka photo aur na hi interview pehlay dia. India TV kay mashhoor anchor Janab Rajat Sharma sahib ne kaha ke aaj hum sham ko Hafiz Saeed par aik ghanta ka makhsoos program kar rahay hain. Aap kyun nahi batatay ke wo kaisay hain? In ka dimagh kaisay chalta hai? Janab Rajat Sharma aur Himant Sharma ko mein ne dou chaar din pehlay apnay sab se milnay ki baat batai thi. Agar mujhe Modi sarkar ne bhaija hota tou apnay sahafi doston ya apni biwi ko bhi mein kyun batata? Agar yeh mulaqat shatirana ya khufia hoti tou sada khufia hi rehti, chahay phir is ki mujh ko kitni hi qeemat chukani parrti. Rajat Sharma sahib ke kehnay par mein ne isi waqt email par Hafiz Saeed ke photo mangaye aur shayad 1.5 se 2 ghantay pehlay forward karaye. Doosray din sirf photo website par charrhwaye. Is se pehlay ke mulaqat ko baqaida mein likh kar Bhaskar ko bhaijta, hamaray mulk kay kuch leaders ne aur channels ne hangama kharra kar dia. Kai anchors ko afsos tha ke aisa sunehri moqa in kay hath kyun nai laga? Inhain yeh scopon ka scope laga. Mere liye yeh koi ghair mamooli Khasool nai tha. Hafiz Saeed se bhi khatarnaak logon se meri mulaqatain ho chuki hain aur wo pehlay khoob chappi hain.
Hafiz Saeed se guftagu tou aap is mulaqat mein parhain gey hi, mujhe is baat ki boht hairani hui hai ke wo mere tez sawalat se thora khafa tou huay lakin bokhlaye bilkul bhi nahi. Itna khatarnaak aadmi itna sabir kaisay reh sakta hai? Shuru shuru kay 5 – 7 minute mujhe aisa zaroor laga ke mahol boht mutnaza hai. Kahin aisa na ho ke baat aik dum bigarr jaye. In kay bandooq walay kamray kay andar aur bahir bhi kharray thay. Lakin mein aisay manazir Afghanistan mein, Wazir-e-Azam Hafeezullah Ameen kay sath bhi 35 saal pehlay dekh chukka hoon. Ghantay bhar ki guftagu mein kai utar charhao aye lakin tut u mein mein ki nobat nahi ayi. Kharab ilfaz ka istamal nahi hua. Sari baat cheet kay baad mujhe lagta hai ke Hafiz Saeed aik na samajh mein anay wali pahaili hai.
Guftagu khatam honay ke baad wo mujhe car tak chorrnay aye, jaisa ke Mian Nawaz Sharif bhi aksar kartay hain. Mein samajhta hoon ke adaltain, sarkar aur foj tou apna kaam karain gi hi lakin Hafiz Saeed jaisay logon se kisi na kisi tarah baat cheet jari rakhi ja sakti hai. Mizoram kay baaghi Laaldinga se mera rabta raha tha, is ka faida bharat ko aakhir mila hi. Mein samajhta hoon, meri is mulaqat par is tarah ka hangama ghair zaroori tha.
Kuch TV channels ne apni rating barhanay ke liye apnay awam ka qeemti waqt barbad kia aur mere kuch boht achay aur danishwar congressi dost bhi in ke behkaway mein phans gaye. Siasi nazariya se diwalia hui congress ko sawar honay ke liye yehi kaghaz ki kashti mili. Inhon ne Modi sarkar par hamlay karnay ke bahanay bharti sahafat ko daghdar karnay ki koshish ki. Mujhe in ki nadani par sakht afsos hai. Inhain fakhar hona chahiye ke in ki sarkar, in ki foj aur in kay jaisay ‘bahadur leader’ aaj tak jis ka baal bhi ikharr na sakay, aik burhay sahafi ne isi Hafiz Saeed ki ghaar mein ghus kar is ke daant gin liye. Mein ne apni jaan ki parwah bhi nahi ki.
Mujh par kiye gaye hamlon ka jawab mein ne jam kar dia hai, kisi sahafi ya kisi siasatdan ko meri baton se chot pohanchi ho tou in se meri iltaja hai ke mera maqsad zabani tashadud bilkul nahi tha. Lakin agar mein ne filfor jawab nahi daita tou in ki ghalat fehmi door kaisay hoti? Mere aur Hafiz Saeed kay darmian honay wali guftagu yeh hai.
Hafiz Saeed: Mein aap kay laikh parrta raha hoon aur aap kay kai TV interviews bhi dekhay hain lakin aap apnay baray mein thorra aur batayiye.
Dr Vaidik: Mein ne international siasat mein Jawaharlal Nehru University se Ph.D kia hai, Delhi University ke aik college mein phir chaar saal politics subject parhaya hai, phir aik akhbar aur news agency ka molaf raha, Kharja policy aur deegar mauzuat par meri lag bhag darjan bhar kitabain hain. Sahafat mein pichlay pachas saal se kar rha hoon. Aap kay mulk mein pichlay tees pentees saal se musalsal aa raha hoon. Ab aap mujhe apnay baray mein batayain gey?
Hafiz Saeed: Haan, kyun nahi? Mera janam March 1948 mein hua. Mere walidain Bharat se Pakistan aye thay.
Dr Vaidik: Aap kya Bihar ke hain, mahajir?
Hafiz Saeed: Meri walida Roparr se ayi thin aur mein Pakistan main paida hua. Is tarah mera taaluq Bharat se bhi hai.
Dr Vaidik: Agar bharat se ta’aluq hai tou phir batayiye ke aap ne Bharat par aisay khofnaak hamlay kyun karwaye?
Hafiz Saeed: Yeh bay buniyad ilzaam hai. Jab Mumbai ke Taj Hotel ki khabar TV par ayi tou mein ne kya dekha ke dou ghantay kay andar mera naam anay laga. Baar baar anay laga.
Dr Vaidik: Is ki kuch tou waja ho gi?
Hafiz Saeed: Waja bas aik hi thi. Pichli sarkar mere peechay haath dho kar parri hui thi. Is ka Wazir-e-Dakhla Rehman Malik mera dushman tha. Is ne mujhe zabardasti giraftar kar liya.
Dr Vaidik: Aap hi ki sarkar ne aap ko pakarr lia? In kay paas kuch thos saboot zaroor hon gey?
Hafiz Saeed: Saboot waghaira koi nai thay. Isay sirf Amreeka ki ghulami karni thi. Sarkar ka diwalia pit rha tha. Isay paisay chahiyen thay. Mujhe pakarr kar is ne Amreeka ko khush kar dia aur barri imdaad le li. Lakin mein ne adalat mein sarkar ko chaaron shanay chit kar dia. Lahore ki High Court ne mere wakeelon ko baahir kar dia, is kay bawajood Rehman Malik ki tagrram nakaam ho gai. Adalat ne mujhe ba-izzat bari kar dia. Lakin Rehman Malik ne mujhe phir giraftar kar lia. Mein phir Supreme Court mein gya. Wahan bhi mein jeet gya. Mera koi gunah sabit nahi hua.
Dr Vaidik: Yeh aap ki apni adalatain hain. Agar yeh koi bainal aqwami adaalatain hoti tou kuch aur baat hoti. Mein aap se poochta hoon ke Allah taala ka bhi qanoon aap maantay hain ya nahi?
Hafiz Saeed: Kyun nahi manta hoon? Mein tou Jihadi hoon.
Dr Vaidik: Kya Allah taalah be qasooron ke qatal ko jaiz maan le ga? Allah sab kuch jaanta hai. Is ki adalat mein aap kya jawab dain gey?
Hafiz Saeed: Mein tou Jihadi hoon.
Dr Vaidik: Mein tou Jihad Akbar ko manta hoon. Is onchay darjay kay Jihad baray tou yehi samajhta hoon ke is mein tashadud ki koi jaga nahi hai.
Hafiz Saeed: Aap phir mujh par ilzaam laga rhay hain? Mera dehshat gardi se koi laina daina nahi hai. Mein qatal-o-gharat gari mein yaqeen nahi rakhta. Mein tou khalis khidmatgaar hoon. School aur madaris chalata hoon, yateemon ki dekh bhaal karta hoon aur dekhiye abhi jo Waziristan se laakhon log naqal makani kar rhay hain, in ki khidmat sarkar se zyada meri jamaat ke log kar rhay hain. Aap chalain, khud apni aankhon se dekh lain.
Dr Vaidik: Ho sakta hai kay aap sab kuch kar rhay hon lakin mujhe yeh batayiye ke iqwam-e-muttahida aur Amreeka ne aap ki jamaat ko ghair qanooni kyun qarar de rakha hai? Amreeka ne aap kay sar par croron ka inaam kyun rakha hai? Bharak sarkar ne aap kay khilaf thos saboot de kar kai dastawez tyar ki hain. In sab ka aap kay paas kya jawab hai?
Hafiz Saeed: (thoray khafa ho kar) jawab kya hai? Saaray jawab mein de chukka hoon. Kya mere jawabat se aap mutmain nahi hain?
Dr Vaidik: Bharat ke khilaf aap zabardast nafrat phailatay hain. Mein ne khud TV par aap ki taqareer suni hain.
Hafiz Saeed: Aur Bharat jo hamaray Kashmiri bhaiyon ka qatal aam karta hai, jo Balochistan aur Sindh mein dehshat gardi phailata hai, wo kuch nahi? Afghanistan mein is nay safaratkhana kay naam par 14 jasoos khanay khol rakhay hain. Bharat Afghanistan ko hamaray khilaaf bharkata hai.
Dr Vaidik: Yeh bilkul ghalat hai. Wahan hamaray 14 safaratkhanay bilkul nahi hain. Hum is mulk ki dostana madad kartay hain. Bharat kay awam aap se nafrat kartay hain. Mumbai ki khoonraizi bhulana mushkil hai.
Hafiz Saeed: Mein tou Hindustanion ki yehi ghalat fehmi door karna chahta hoon.
Dr Vaidik: Is ka tou aik hi tareeqa hai ke aap apnay gunah qabool karain aur is ki munasib saza mangain. Yeh aap ki bahaduri hogi aur aap yeh rasta nahi apna saktay tou kaffara ada karain, maafi maangain.
Hafiz Saeed: (thori buland awaz main) Mein ne jab koi jurm hi nahi kia tou in sab baton ka sawal hi nahi uthta (thori der chup reh kay) yeh batayiye key yeh Narendra Modi kaisa aadmi hai? Is ka ana saaray Janoob Asia kay liye Khatarnaak nahi hai?
Dr Vaidik: Is mein koi shak nahi hai ke Narendra Modi boht sakht aadmi hain lakin Modi sahib ne intikhab mein kisi mulk kay khilaaf kuch nahi kaha. Islam aur musalmaanon kay khilaf kuch nahi bolay. Purani baton ko chorriye. Aagay barrhiye, Modi sahib ab Bharat kay Wazir-e-Azam hain. In ki zimadari boht barri hoti hai. Dekhiye, aatay hi Modi ne apni half bardari ki taqreeb mein, parrosi mumalik aur Khas kar Pakistan kay Wazir-e-Azam Nawaz Sharif ko bulaya. Kya kisi bharati Wazir-e-Azam ne pichlay 66 saal mein Pakistan ke kisi Wazir-e-Azam ko bulaya hai?
Hafiz Saeed: Kia bulaya? Bula kar Modi ne isay bayzzat kar dia?
Dr Vaidik: Kaisay?
Hafiz Saeed: Aap ki khatoon foreign secretary ne kaha ke Modi ne Mian Nawaz Sharif ko daant lagai?
Dr Vaidik: Mein ne Mian Nawaz, aap kay Wazir-e-Kharja aur Kharja Secretary se bhi yeh poocha tha. Unhon ne aisi kisi baat se wazeh inkar kia. Yeh tou sirf media ki kartoot hai.
Hafiz Saeed: Ho sakta hai laikin Pakistan mein tou sabhi yehi samajh rahay hain?
Dr Vaidik: Hum maantay hain ke Bharat Pak taaluqaat ki rah mein, aap sab se barri rukawat hain. Zara taaluqaat achay honay lagtay hain ke koi na koi dehshat gardi ka waqiya ho jata hai.
Hafiz Saeed: Mein bilkul bhi rukawat nahi hoon. Aap ki yehi ghalat fehmi door karnay ke liye mein aik martaba phir Bharat ana chahta hoon. Mein chahta hoon ke dono mulkon ke taaluqaat achay banain. Hamaray dono mulkon ki tehzeeb aik jaisi hai. Mein Bharat mein kisi barray jalsay mein taqreer karna chahta hoon.
Dr Vaidik: Mujh se Pakistan mein boht se logon ne kaha hai ke Modi sahib khud Pakistan kyun nahi atay? Agar ayain tou kya aap pathar baazi karwayain gey? Aihtajaj karain gey? Mukhalfat karain gey?
Hafiz Saeed: (thora ruk kar) Nahi, hum in ka istaqbal karain gey!
Dr Vaidik: Mein tou ulta hi samajh raha tha?
Hafiz Saeed: Kya aap ko hum musalmanon ki, mehman nawazi kay baray mein pata nahi? Agar humari sarkar bulaye gi tou hamaray mehman hon gey.