While we all plan and make elaborate arrangements for the many journeys in our lives, we seem to make no preparations for our ‘last journey’.
Apni is lambi si zindagi mein
Hum sab kitne hi safar par jaate hain
Aur safar ki har zaroorat ka
Saara saamaan jutate hain
Kab jaana hai, kahaan rehna hai
Rail se ya car se
Ya hawai jahaaz se
Mahinon pahale chalne ki
Hum booking karvate hain
Par ye ‘aakhiri safar’
Jo hai zindagaani ka
Uska khayaal aate hi
Hum kyon bhaybheet ho jaate hain?
Ek yeh hi to safar hai
Jiske ‘cancel’ hone ka
Bilkul bhi nahin chance hai
Aur paida hote hi sabki
Booking hui advance hai
Bistar bora paisa taaka
Koi saath le ja sakta nahin
Ek baar chal pada to
Vaapas aa sakta nahin
Manzil is safar ki
Jahannum hai ya jannat hai
Sawaari chalegi us taraf hi
Jiski tum ne saara jeevan
Jaisi chukayi keemat hai
Aur safar mein to yaadgaar
Tasveeren khinchvaoge
Is ‘aakhiri safar’ mein
Kahaan gaye, kya dekha, kis se mile
Kuchh bataa nahin paoge
Kehta hai ‘Lal’
Raaz ki baat hai
Zara suno laga kar dhyaan
Tumhare se aage chala jaata hai
Is safar ka tumhara saamaan
‘Bank balance’, ye gaadi, ye bangala
Sab yahin reh jaayega
Achche bure karmon ka khaata oopar
Tumhare jaane se pahale hi khul jayega.
ablsl1971@yahoo.co.in
Read More...