Humming song of the day (04.07.2014)

Stranger (.) (5526 Points)

04 July 2014  

A very beautiful & emotional song from the movie "Newyork", sung by Mohit Chauhan..Keep listening..keep hummingsmiley..

 

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha,
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta Raha.. 

Jaane Kiski Humein Lag Gayi Hai Nazar,
Is Shehar Mein Na Apna Tikana Raha..
Koi Chaht Se Na Ab Apni Chalta Raha,
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta Raha..

Dard Phele Se Hai Jyaaada, Khud Se Phir Yeh Vaada,
Khamosh Nazrein Rahein Bezubaan..

Abb Na Pehli Si Baatein Hai, Bolo To Lab Thartharatein Hai 
Raaz Yeh Dil Ka Na Ho Baiyan..
Hoga Na Ab Asar Humpe Nahin, Hum Safar Mein To Hai Humsafar Hai Nahi,
Door Jaata Raha Paas Aata Raha,
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta Raha ..

Aaya Woh Phir Nazar Aise, Baat Chidne Lagi Phir Se,
Aankhon Mein Chubhta Kal Ka Dhuan..

Haal Tera Na Humsa Hai, Is Khushi Mein Kyon Gumsa Hai
Basne Laga Kyon Phir Woh Jahan..
Woh Jahan Dur Jis Se Gaye The Nikal,
Phir Se Aankhon Mein Karti Hai Jaise Pehal..

Lambha Beeta Hua, Dil Dukhata Raha, 
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta Raha 

Tune Jo Na Kaha, Mein Woh Sunta Raha,
Khamakha Bewajah Khwaab Bunta Raha.. 

Jaane Kiski Humein Lag Gayi Hai Nazar,
Is Shehar Mein Na Apna Tikana Raha..
Koi Chahat Se Abb Apni Chalta Raha,
Bhuj Gai Aag Thi Daag Jalta Raha...